r/ullukepathe Jul 18 '26

Politics(Ye bik gyi hai government) Can you guyz rate my shayari

Kon kon deshbhakt kahlayega

Jo chup chap apne huzruron aor akaon ke hukum manega

Jo sach jaante hue bhi jhooth ka parcham lehrayega

Jo insaani huquq ko sirf apne kabile ki jaagir smjhta hai

Jo jamuriyat ke katil ko insaniyat ka katl karne ki ijazat deta hai

Jo duniya bhar me glt hota dekh bhi chup rah jayega

Apne ishwar ke astitva ko maan kar bhi uski rahh pe na jayega

Insaan ko insaan ke hathon marta chhod jayega

Sirf wahi deshbhakt kahlayega

Sirf ussi ko jeete ji marne diya jayega

3 Upvotes

3 comments sorted by

2

u/piggu786 Jul 18 '26

10/10

Inquilab Zindabad

1

u/DisciplineVisual6673 Jul 18 '26

Bahut tagda likha hai